Tuesday 24 December 2013

Umr-e-Rafta..

Umr-e-Rafta..

kuchh manzar ojhal ojhal se
kuchh sansey bojhal bojhal si
ek tees utha kar jaaty hain
kuchh yaden komal komal si

ek aah sulagty hai dil me
ek chah sisakty hai dil me
ek shakh jo mujhse toot gyi
wo shakh lachakty hai dil me

Kaii log miley kai bisar gye
kaii waqt ke hatho bikhar gye
kai dhundle dhundle baqi han
kaii nazar chura kar guzar gye

kabhi tanhaai ke pahlu me
un logon me kho jata hu...
wo log jo mujhme baqi han
kia yaad unhe Mai aata hu!?

Monday 23 December 2013

Suno..



suno..

chaltey chaltey jab is raah pe thak jaogi 
door tak nazren daudaoge kuch na paogei

sukoon-e-qulb ki khatir bhataktey hue 
tab usi mod par tum mujhko khada paogi 

mery ulfat mere jazbe mery wafaaon ke nishan 
apni raahon main kahin bikhre huye paogi

nigahen sharm se jhuk kar k uth na payengii 
jab mery nazron se nazren milana chahogi 

gham-e-hayaat ki talkhiyon se ghabra kar 
mere seene main khud ko chhupana chahogi!

tarasty aankhon main larazte aansuon se 
mere daaman ko bhigona chahogi!! 

thaam kar waqt ko lachaar hathon main 
phir se maazi ki lakeeren padhna chahogi !! 

wahi naghme jo tumhare liye kahe the maine 
unhi naghmon ko phir se gungunana chahogi !! 

phir mohabbat ki baazyaabi ke liye 
sara haasil ganwana chahogi!! 

Khair..,abhi tumko ye baaten samajh na ayengi
lekin, mujhe yaqeen hai tum is raah pe thak jaogi
door tak nazren daudaaogi kuchh na paaogi!!