Saturday 2 February 2013

Meri Duniya.. :)


Meri Duniya..

Haye wo mera bistar wo makhmali si chadar
Haye gudaaz takiya wo khubsurat diwar-o-dar

Sooraj ki pehli kirne hansta tha jinse aangan
Wo neem ka darakht ! girta tha jispe saawan

wo qudrat ki godi me khilta savera
pahadi k daaman me tha apna basera:-)

Wo mere yaar saare wo khel piyare piyare
Cycle ki wo sawari ….darya k wo kinaare !

Wo roothna bigadna.. bin baat hi akadna !
Wo thokaron pe girna gir gir k phir sambhalna!

Wo kanchey, wo paththar,wo kaghaz purane
wo toote khilone,wo sikke purane
na jane kia kia kabada mai chun chun k lata
aur apna khazana badhata hi jata :-)

baarish me nange phirna aur cyclen chalana
yaaad aata hai ab wo guzra hua zamana…..!

ammi ki daant sunna papa k dar se chhupna
bhai se kushti ladna aur behan se bhi jhagadna!

na ehsaas-e-gham tha na fikr-e-jahan thi
zindagi kiya thi….ek gulsitaan thi :-) !!

anjaan the qasam se duniya k pech-o-kham se
apni hi dhun ki duniya me jeete the ham magan se :-)

aye kaash mere Allah phir waqt ko phira de !!
aur mery piyari duniya wapas mujhe dila de!!
.................................................................................................................junaid

4 comments:

  1. Masha Allah Janab,

    God Bless You,

    / Kashif

    ReplyDelete
  2. umm hmm.. mast hai.. :)
    bade din baad khamosh nazar ki nazar... kch kiya gaya hai.. ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. جی آفرینہ صاحبہ۔۔۔......۔شکریا :)

      Delete