Wednesday 18 April 2012

Urdu aur Mai..

Khamosh Nazar

Aesi   nafaasat  aur  kahaa’n
Aesi nazaakat aur kahaa'n
Kaano me joo’nrass tapka de
Honto’n ko phulon sa khila de
Aesi  halaawat  aur kahaa’n
Aesi zaba’n koi aur kahan..!
Ye urdu zabaa’n hai urdu zabaa’n!!

          Urdu zabaan se mera ta’alluq shuru dino'n se hi rha hai, aur ye ta'alluq  dilchaspi ki hado'n se guzarta hua mohabbat ke aqdaar ko ja pahuncha..jise mazeed jila bakhshte huye Aligarh Muslim University ki fazaao’n ne parwaan chadhhaya. Aur is muhabbat ka sabab hai is zabaan ki jaazbiyat, iski nazaakat-o-nafaasat…jo halaawat ke saath roooh me utarti chali jati hai.

Muhaqqiqeen ki raaye me Delhi sultanat ke daur me urdu ka wajood amal me aya, “urdu” Turki zaban ka lafz hai jiske lughvi maani “lashkar” ke hain, shuru me ye ek lashkari zabaan thi (the language of [army] camp) , kyonke lashkari amla qaumi aur bain-ul-aqwaami afraad  per mushtamil tha jisme Turki,Arbi,Faarsi.. se lekar Sindhi, Sanskrit, Punjabi, Dehelvi.. zabaan ke bolne wale shamil the , jinhone na sirf ek doosre ki tehzeeb-o-tamaddun se tabadla-o-istafadah kiya balke unke alfaazon ko bhi apnaya aur is trah  ek nayi zabaan ka farogh amal me aya,jo aahista aahista apni khoobiyon ke sabab  ksi khaas qaum-o-millat se ooper uth kar apne pankh phailaati gayi or har aaam-o-khaas ki zaban banti gayi…apne taqreeban 900 baras k safar me isne bahut se nasheb-o-faraz dekhe…Delhi sultanat se lekar ,Mughaliya hukumat dekhi, angrezi daur bhi dekha, phir wo 1857 ka Ghadar...tehreek-e-aazadi ke sho'ley …aur aazaad hindostaan!! Pas mukhtalif zamane ke aitbaar se log isme shamil hote rhe ,iski wus’at ko mazeed gehrate rhe aur ye kaarwan aaj bhi batadreej jaari hai ….aur inshaAllah jaari rahega... :)

filwaqt mujhe Shaharyar sahab ka ek shai’r yaad arha hai jise mai urdu k zaaviya-e-nazar se dekh rha hu- 

" Ek Tum hi nahi tanhaa ulfat me meri ruswaa
Is shehar me Tum jaise deewane hazaron hain”


Ye blog Meri urdu muhabbat aur is  shiree'n zabaan ko seekhne ke amal me ek chhota sa qadam hai ,mai chaahta to ye tha ke urdu tehreer me hi apni baat aap tak pahunchaaun magar blog me urdu rasm-ul-khat ki sahoolat ke bawajood kuchh diqqat pesh aarahi hai, isliye roman script se hi iktifaa karna hoga, phir bhi meri hatt-ul-imkaan koshish rahegi ke sahi alfaaz talaffuz ke sath aap tak pahuncha sakun taaki urdu ki chaashni aur aapki dilchaspi barqaraar rahe...  ummeed karta hun aapko ye meri adna si kaavish pasand aayegi :)
                                                                                                                      ....Junaid



8 comments:

  1. tmne to poori histry khol k daal di......!! pata lag raha hai isse tmhara... urdu se lagaw....:)
    keep it up.......!!! Allah bless u.... :)
    tmhara naam oupar dikhna chahiye.....!! urdu k nami grami logo k sath....!!
    INSHAALLAAHH....

    ReplyDelete
  2. shukriya....inshaAllah :D
    ye mehaz ek mukhtasar sa ta'aruf hai urdu ka ...taareekh me abhi bht kuch baqi hai!

    ReplyDelete
  3. MARHABA!!!!!!!!

    ReplyDelete
  4. Wah G wah..bahut dilchasp...iam loving it..ye blog mujhe meri urdu improve kerne me kafi madad kerega..jazakAllah shayar sahab..Allah apko kamiyabi ki bulandiyo per leker jaye..Aameen:)

    ReplyDelete
  5. shukriya ruby sahiba :) achha hai...is trah thode sawab ka mai bhi haqdaar ho jaunga :D

    ReplyDelete
  6. MashaAllah..Bahut Acha..chuninda ashaar ka majid istemal kro..

    ReplyDelete
  7. Mashallah.....mabrook junaid sahab...Pehla blog mubarak..:)))

    ReplyDelete
  8. Thanx shariq and razia sahiba :)

    ReplyDelete